Attitude shayari is not about ego it is about self-respect confidence and knowing your worth. These lines reflect a mindset that stands tall with pride and positivity. Whether you want to show your style or respond with grace attitude shayari says it all in fewer words.
In this collection you will find attitude shayari in hindi for desi swag attitude shayari in english with modern edge attitude shayari for girls full of bold vibes and boys attitude shayari with fearless tone. There is also attitude dosti shayari that celebrates friendship with confidence. From style wali shayari to powerful lines every word here speaks loud without shouting.
Attitude Shayari​

Hamara andaaz hi kuch aisa hai janaab,
Dekhne walon ko cute aur jalne walon ko attitude lagta hai.

Main sirf Khuda ki pakar se darta hoon,
Warna jis maqam par tum guroor ki baat karte ho,
Mere liye woh ek chhoti si baat hai.

Zaroori nahi ke main har kisi ko pasand aaoon,
Har koi mujhe bhi to pasand nahi aata.

Badshah woh nahi jis ke sar par taaj ho,
Badshah woh hai jiska dilon par raaj ho.

Waqt waqt ki baat hai,
Aaj tera hai, kal mera hoga,
Aur jab mera hoga to soch tera kiya hoga.
Instagram Attitude Shayari​

Hum kisi ke bharose par nahi chalte,
Apne dum par aag lagaenge,
Tum jhuk jaane ki baat karte ho,
Hum manzil ko utha kar le aayenge.

Bill mein ghus kar nahi, sar-e-aam dahadte hain,
Aur yeh apna style nahi, paisa hai bro,
Hum samne wale ki keh kar faadte hain.

Jis kaam se maa mana kar de,
Phir us kaam ko nahi karta main.
Aur meri kaamyabi ka ek aur raaz hai,
Kisi papa ki pari par nahi marta main.

Muskuraye hain hamesha, chhupaye hain gham,
Tujhe waqt batayega kaun hain hum.

Hawa baazi nhi bety, steering humary hath main ha,
Tu to sirf tayar hai,
Aur jis khel mein aaj kal tum jeet rahe ho,
Hum us khel ke umpire hain.
Love Attitude Shayari​

Janaab chaahe jab mai eik rupya na ho,
Lutaane mein imaan tak de denge.
Aur yeh meri dosti ka usool hai mere dost,
Tu dil se nibhaane wala ban,
Hum apni jaan tak de denge.

Sirf khanjar hi nahi, aankhon mein paani chahiye,
Aa Khuda! Dushman bhi mujhko khaandani chahiye.

Akele hain, koi gham nahi,
Kyunki jahan izzat nahi, wahan hum nahi.

Hum seedhe seedhe ja rahe the,
Ab phir rahein modni padegi,
Tum aise nahi maanne waale,
Humein phir sharafat chhodni padegi.
Attitude Shayari 2 Line​
Tumhare samne se guzrenge, na baal bhi tumse baanka hoga,
Or jab hamari entry hogi to, bety, shor nhi dhamaka hoga.
Kaam aisa karo ke aapka naam ho jaaye,
Warna nam aisa karo ky nam lety hi kam ho jaaye.
Andar sy bhi waisy hi hai jaisy dikhty hai bahar sy,
Aur Laila humse door rahe kyunke humein allergy hai pyaar se.
Main jaisa hoon, waisa hi theek hoon,
Zarurat nahi kisi ke standard par jeene ki.
Jab mere saath mere dost hote hain,
Main kisi se nahi darta.
Kabhi ek doosre ke liye mann mein gussa bhi nahi bharta,
Par ek baat inki mujhe buri lagti hai—
Saalo ne Father’s Day par mujhe wish bhi nahi kiya!
Khamoshi meri kamzori nahi,
Bas khud par bharosa zyada hai, isiliye jawab nahi deta.
Attitude Wali Shayari
Mera attitude to virasat mein mila hai,
Tu kya jalega? Mera level hi alag hai.
Dil jeet le, jaan bhi haazir hai,
Teri tarah daulat par nahi marta main.
Aur jo kamaya, izzat se kamaya,
Shauk poory karny ky liye giry huay kam nhi karta mai.
Log hamare saath drama karte hain,
Lekin unko abhi tak pata nahi,
Main khud ek bohot buri film hoon.
Shareef tha pehle to sab ne badnaam kiya,
Aur jab bura ban gaya to dushman ne bhi salaam kiya.
Hamara apna mayaar hai,
Hum dushman bhi khaandani rakhte hain.
Aapki jo pehchaan hai,
Woh hum apni jooti ke neeche rakhte hain.
Attitude Life Shayari
Humne azaad kar diye manpasand log,
Woh baat na karein to hum gila nahi karte.
Maana ke anmol ho, qaleel-o-nayaab ho tum,
Hum bhi to janaab, har dehleez par nahi milte.
Baaz auqaat muskaraana hi kaafi hota hai,
Ab har kisi ko thappad to nahi maar sakte.
Zamaany mai aaye ho tu jeeny ka hunar bhi rakhna,
Dushmanoon sy koi khatra nhi, apnon pr nazar rakhna.
Har ki parwah karta to jeetna chhod deta,
Lakin jeet mari zidd ha, aur zidd ka mai badshah hoon.
Mujhe kamzor samajhne ki koshish mat karna,
Pyaar aur war waqt aane par karunga.