Sad shayari for boys is more than just words—it is a quiet voice for emotions often left unsaid. Life has its difficult moments but even in silence there’s strength. For every boy who hides his feelings behind a smile these heartfelt lines offer gentle support. Whether it is missing someone or facing emotional distance this shayari understands without judgment. These touching words help express what the heart holds reminding us that feeling deeply is a sign of courage. Let every verse echo your story in the most comforting way through this soulful collection of emotional shayari.
Sad Shayari for Boys

Zindagi mein kuch is qadar main khud ko barbaad karta hoon,
Jis din shart lagti hai kisi se tujhe bhulaane ki,
Main uss din tujhe bohat yaad karta hoon.

Do pal ka sukoon dhoondhtay hain, chaand sitaron ki hamari farmaishain nahi hoti,
Hum larkon ka bas dil rota hai, hamari aankhon se baarishain nahi hoti.
Din bhar papa ke taane suntay hain, raat mein Rajit ke gaane,
Dil lagane ki umar mein hum lag jaate hain kamaane.
Ghar mein rahain to nakaara, bahar ghoomay to awaara,
Na royein to pathar dil, agar royein to bechaara.

Main mard hoon — na ro sakta hoon,
Na hi keh sakta hoon… bas seh sakta hoon.

Udhar kisi ne muskara kar dekha tha,
Idhar faqeer ne bachon ke naam soch liye.
Sad Shayari for Boy in Hindi

Main woh insaan tha jo zara si takleef mein aasmaan sir par utha liya karta tha,
Aaj dard ka sailaab guzar raha hai andar… par main muskurata rehta hoon.

Koi nahi poochta haal hamara — to kya hua?
Aaj nahi to kal saara jahaan poochega: usse kya hua tha?

Ya Allah! Ab bas… zindagi ka safar khatam kar de,
Dil thak gaya hai, bardasht khatam ho gayi hai.

Yeh izayat hum se poochay koi,
Ghanton us ke message ka intezaar kiya,
Raat bhar sari kahin aur waqf kar di gayi,
Aankh lag gayi — aisa usne har baar kiya.

Koi baat kare to theek, koi na kare to bhi theek — iss raah pe sawar ho gaya hoon main.
Logon ko lagta hai mujh mein guroor aa gaya hai,
Mujhe lagta hai main samajhdaar ho gaya hoon main.
Sad Shayari for Boy with Pic

Woh mujhe pagal bana rahi thi,
Aur main usse dulhan banane ka soch raha tha.

Jab dil dukhte hain na,
Zubaan khud-ba-khud khamosh ho jaati hai.
Jinhein ehsaas hi na ho, unse gile shikwe kaise?

Aa zindagi! Tujhe kya kahoon — mere saath tune kya kiya?
Jahaan umeed ka koi diya nahi, mujhe uss nagar mein pohochaa diya.
Na main rok sakoon, na main badh sakoon, na hi dil ki baat samajh sakoon…
Tujhe kya kahoon, tune kya kiya!

Aur jis din main tumhein apni poori baat bataaoonga,
Uss din tum kaho gi, “Pagal! Itna dard le kar kaise hanstay thay tum?”

Shayad main kisi ke qabil hi nahi hoon,
Jab bhi dard hota hai… aansuon ke siwa koi saath nahi hota.