Sad shayari for girls captures the unspoken emotions that often stay hidden behind a smile. Whether it is heartbreak loneliness or silent tears every girl has moments where words fail but feelings remain. These shayaris are more than just rhymes they are reflections of emotions that many girls quietly carry in their hearts. In this collection you will find lines that connect with your pain remind you that you are not alone and offer comfort through poetry. From lost love to silent strength this space is for those who feel deeply and express softly. Let these touching lines speak for the moments your heart could not put into words.
Sad Shayari for Girls

Woh larki jiske lehje mein itni meethaas thi,
Kisko khabar thi ke wo kitne dino se udaas thi.
Main sochta hoon yaar, wo kaise jee gayi…
Kamray mein jiska pankha tha, aur rassi bhi paas this.

Jitna hum samajhte gaye,
Utna humein samjhaya gaya.
Aur jab hum se bhar gaya dil unka,
Toh dil auron se behlaaya gaya.

Aaj bohot takleef mein hoon,
Dua karo — ya sabr mil jaaye, ya qabar.

Kaash kabhi samajh pao tum,
Main badal nahi rahi… khatam ho rahi hoon.
Sad Shayari Image for Girl

Dastak aur awaaz to kaanon ke liye hoti hai,
Jo roh ko sunai dai… usay khamoshi kehte hain.

Main hans kar bhi apna gham chhupa leti hoon,
Log kehte hain, “Tu to badi mazboot ladki hai…”

Zindagi ne har uss cheez ko tarsaya,
Jis ki maine shadeed khwahish ki.

Mazaak apni jagah hai,
Lekin jab koi apni aadat bana kar ignore karta hai,
Toh dil bohot dukh’ta hai.
Sad Shayari for Girl in English

Tery hoty hue bi girte thay ansoo mery,
Tu soch tery baad kia haal hota hoga mera.

Sab ka saath dete dete,
Main khud akeli reh gayi.

Bohot chhoti umar mein maine,
Apni saari khushiyan maar di.

Dil to chahata tha sab kuch keh doon,
Par zubaan pe khamoshi chhayi rahi.
Woh samajh jaata agar apna hota,
Humein bolne ki zarurat hi nahi thi.
Sad Shayari for Girl in Hindi

Kahani theek banti hai,
Nazarein theek milti hain.
Agar waqt achha ho,
Toh saare theek milte hain.
Humein toh jo mila apna,
Wohi dasny mein maahir tha.
Na jaane kaise logon ko,
Saare theek lagte hain.

Zindagi ne kuch is qadar sataya hai,
Mukhtasir khushi de kar… mustaqil rulaya hai.

Mujhe khayal hai, tu mera khayal hai,
Aa markaz-e-khayal — kya khayal hai!
Tu aata hai mere khayal mein itne khayal se,
Tujhe mere khayal ka itna khayal hai…

Ek din itni door chali jaaungi ke,
Na online aaungi, na nazar aaungi.