Alone sad shayari in English expresses emotions that words often fail to capture. Everyone faces moments of solitude and poetry turns those feelings into something meaningful. It’s love self-reflection or finding peace these words offer comfort and connection. Solitude is not always sadness it can be a journey of self-discovery. Sad shayari in English expresses deep emotions. Heart-touching shayari in English brings hope. If you feel lonely or miss someone emotional shayari in English gives voice to your thoughts.
Alone Shayari in English

Kisi ko jism mila, kisi ko ruswai mili
Hum mohabbat mein sab se pakke the
To hum ko tanhai mili

Tanhai mein faryad to kar sakta hoon
Veeranay ko abaad to kar sakta hoon
Jab chaho lekin tumhe mil nahi sakta
Lekin jab chaho tumhe yaad to kar sakta hoon

Tanhai behtar hai kisi shaks ki company se
Jo shaks apko takleef de raha ho
Aur jo shaks apko waqt par tanha kar de
Jis waqt apko tanhai ki nahi, uske saath ki zaroorat ho

Aise waise, waise aise kaise hain
Dekho na, yeh log kaise kaise hain
Kya tumne nazdeek se dekhi hai tanhai?
Yeh saare rang mere jaise hain
Alone Shayari 2 Lines in English​

Main jitna logo ko samajhta gaya
Akelapan mujhe aur bhi acha lagta gaya

Jinko soch kar akele mai muskuraya karte thy
Ab unhi ko soch kar akele mai roya karte hai

Kaun deta hai umr bhar ka sahara
Log tu janaaze mai bhi kandhe badlty rehty hai

Bade ajeeb se mod per aa gayi hai zindagi
Ab na toh koi ajnabe raha hai or na hi koi apna

Zindagi mai insaan uss waqt bohot toot jata hai
Jab sab kuch pass hokar bhi who akela reh jata hai

Tanhai behtar hai
Aaj kal ke bewafa logon se

Waise akele rehna bhi koi buri baat nahi
Zindagi ka asli shor uski khamoshiyon mein hi basa hota hai

Mai tanhai ko, tanhai mein tanha kaise chhod doon
Is tanhai ne, tanhai mein tanha mera saath diya
Feeling Alone Shayari in English

Aankhon mein, ashk le kar wo ghabraai aayi thi
Mere hi sapne, meri tanhai aayi thi
Jaane se uske, baag mein sab kuch badal gaya
Aane se jiske, baag mein ranai aayi thi
Bade sakoon se kaata azaab-e-tanhai
Mai apny ap sy muddat ke baad mil paai
Kisi tarhan to bikharna hi tha ya rait ka ghar
Havaa-e-zulm samnder ki mooj le aai
Ya sab ghalat ke humein fursat-e-khayal na thi
Sahii ye k koi yaad hi nahin aai
Khaataein dono ki yaksaan thi per tajjub hai
Kisi ko daad mili or kisi ko ruswai

Yaadeein pagal kr deti hai, batein pagal kr deti hai
Chehra hoosh bhula deta hai, ankhein pagal kar deti hain
Tanha chalne walon ko raahen pagal kar deti hain
Din to guzar jata hai, raaten pagal kar deti hain
Apni tanhai se vahshat nahi hoti mujhko
Kya ajab shaai ho, mohabbat nahi hoti mujhko
Yaad aati nahi beeti hui baatein mujhko
Yaad karne ki zaroorat nahi hoti mujhko
Aur dil ka jazbaat se ab koi taluq nahi
Hadd to yeh ho gayi, nafrat nahi hoti mujhko