Love is a language of the heart and Love Shayari in English turns emotions into beautiful words. Whether it’s the joy of new love the pain of longing or the warmth of deep connections poetry expresses what the heart feels but cannot say.
Some verses celebrate the beauty of romance while others capture the emotions of waiting and longing. Romantic Shayari in English speaks of tender moments while heart-touching love Shayari expresses deep emotions. If you miss someone missing you Shayari brings your feelings to life. Every word reflects love’s essence making emotions more meaningful.
If you are searching for the right words to express love this collection is for you. Whether you share it with someone special or keep it close to your heart these verses will always resonate with your emotions.
Let Love Shayari in English be the voice of your heart turning love into poetry.
Love Shayari in English

Baat chhoti si hai per kehna zaroori hai
Zindagi meri hai per aapka hona zaroori hai

Koi itna pyara kaise ho sakta hai,
Wo bhi saara ka saara kaise ho sakta hai,
Tuj sai mil kar bi agar udaasi kam nahi hoti,
Tere bagair guzara kaise ho sakta hai?

Kuch bhi nahi chahiye tum se,
Bas mohabbat bepanah chahiye,
Is duniya ki bheed se nikal kar,
Teri baahon mein panah chahiye.

Apni tasveer ko ankhon sai lagata kiya hain,
Aik nazar meri taraf bhi tera jata kiya hain,
Tou mera kuch nahi lagta lakin itna toh bata,
Dekh kar mujhko tere zehan mein aata kya hai?

Tumhara husn bas ek sarab hai,
Aur kiya dilkash, kiya badsoorat, har chehre par naqab hain.
Love Shayari in Roman English

Mohabbat ki hai tumse, befiqar raho,
Narazgi toh ho sakti hai, magar kabhi nafrat nahi.

Tum meri taraf dekhna choro toh batao
Har shaqs tumhari hi taraf dekh raha hai

Khawabon mein milna tumhain ek raaz bataunga,
Khamosh dil ke kuch alfaaz bataunga,
Sunane ki koshish toh karna tum,
Tum se jo umeedein thi, wo bataunga.

Kya likhu tere soorat-e-tareef mein,
Alfaaz khatam hogaye teri adaein dekh kar

Teri awaaz zakham bharti hai,
Aa mere meharban, bola kar.
Warna naam to doosre bhi lete hain,
Tu meri jaan, “jaan” bola kar.

Log kehte hain ke mohabbat ek baar hoti hai,
Lekin main jab jab usse dekhta hoon,
Mujhe har baar usse mohabbat ho jati hai.
Sad Love Shayari in English

Zameen se durr jaane ko dil karta hai,
Aaasman mai ghar banane ko dil karta hain,
Jiss din tujhy koi or chhu leta hai na,
Sachmuch mera marr jaane ko dil karta hain.

Nafrat mat karna humse, hum seh nahi payenge,
Bas pyaar sy keh dena “achhe nahi lagte,” phir kabhi nazar nahi ayenge.

Hum ne mohabbat ka bharam sab se juda rakha hai,
Zikar har baat mein tera hai, magar naam chhupa rakha hai.

Ek tum aur mohabbat tumhari,
Bas in do lafzon mein hai duniya hamari.
Love Shayari in English Hindi

Tum meri soch ho, koi tumhe soche kyun,
Tum meri chahat ho, koi tumhe chahe kyun,
Tum mera aaina ho, koi tumhe dekhe kyun,
Tum meri dua ho, koi tumhe maange kyun.

Aankhon se sawaal puchna kisne sikhaya tumko,
Muskura kar maar dena kisne sikhaya tumko?
Mann to karta hai tumhe saamne bitha kar rakhu,
Usne itna pyaara kyun banaya tumko?

Zamaana bhi raazi ho aur tu bhi,
Koi aisi hera pheri ho jaaye.
Main kamaal kar dunga tujhe chahne mein,
Agar tu poori tarah meri ho jaaye.

Waady pakke thy, beshaq umar kachi thi,
Kismat sai ham har gaye, warna mohabbat to sacchi thi.

Woh ishq kaisa jo sirf chehre se ho,
Asal maza toh tab hai jab kisi ki baaton mein dil kho jaaye.

Dost bhi tum, pyaar bhi tum,
Ek bhi tum, hazaar bhi tum.
Gussa bhi tum, maafi bhi tum,
Zindagi ke safar mein kaafi ho tum.
Short Love Shayari in English

Ek tera hi to khayal hai mujhe,
Warna akele baith kar kaun muskurata hai?

Woh jis din se hamara ho gaya hai,
Mukhalif sheher hamara ho gaya.

Tu har cheez maang le mujh se, tujh par sab kuch qurbaan hai,
Bas jaan mat maangna, kyun ke tu hi to meri jaan hai.

Tum se kitni mohabbat hai, maloom nahi,
Log to aaj bhi tumhari kasam de kar mana lete hain.

Nazr nazr mai wafa ke ujale aur bhi the,
Piyaar ky dard ko samajhne waly aur bi the.
Aap ki adayein humein bahut pasand aayi hain,
Warna tumhare sheher mein dilwale aur bhi the.

Usne hum se poocha, “Teri raza kya hai?”
“Kyun karte ho itni mohabbat, wajah kya hai?”
Kaise bataun usko meri khata kya hai,
Jo wajah se kare mohabbat, us mein maza kya hai?

Sirf jism nahi, rooh ko choo sako to ishq karna,
Kapray utarna saboot nahi wafa ka.
Uska dopata sambhal sako to ishq karna,
Woh meri hai ya nahi — ya haq jatana ishq nahi.
Mai us ka ho, yeh keh sako to ishq karna.

Kaash tu chaand mein sitara hota,
Aasman mein aashiyana hamara hota.
Log tumhein door se dekhtay,
Paas se dekhne ka ikhtiyaar hamara hota.

Tujh se mohabbat karke hum ne kya paaya?
Raaton ki neend aur din ka chain gawaya.
Tu hi bata, kya karein is dil ka,
Jise barbaad hokar bhi chain na aaya.