Breakup shayari is not just about pain it is about healing. When words fail shayari helps release the emotions you hold inside. Whether you are dealing with heartbreak or letting go of someone you once loved these lines give your feelings a voice.
In this collection you will find breakup shayari in hindi for deep emotional expression breakup shayari in english with a modern touch and breakup sad shayari that reflects silent pain.
From dard bhari shayari to emotional shayari every verse touches the soul gently. Love breakup shayari and dil tootne ki shayari here are not just about sorrow but about moving forward with strength. Sometimes broken hearts speak the most beautiful words.
Heart Touching Breakup Shayari

Tumhein paane ki khaatir hum ne sab kuch chhod diya,
Aur aakhir mein tumhari khushi ki khaatir, jao — tumhein bhi chhod diya.

Ab uss ky nigah se aate paighaam nahi leta,
Duaayein deta hoon, lekin salaam nahi leta.
Hamara tark-e-taalluq hua hai jis din se,
Main ek saans mein dono ke naam nahi leta.

Woh bewafa ha tu kya, mat kaho bura usko,
Jo hua so hua, khush rakhe Khuda usko.
Nazar na aaye toh uski talaash mein rehna,
Kahin mile toh palat kar na dekhna usko.

Khatm toh hona tha ek roz ta’alluq lekin,
Tum ne jaldi mein bujha diya diya — ghalti ki.
Main ne ae shakhs tujhe pehli mohabbat ki tarah,
Waqt se pehle bohot waqt diya — ghalti ki.

Ek muddat ke baad aaj usse dekh kar,
Ek baar dil toh dhadka, magar phir sambhal gaya.
Breakup Sad Shayari

Chalo tum chhod do mujhe,
Main wapas laut jaata hoon.
Tumhein manzil mubarak ho,
Naya saathi mubarak ho.

Ek naam har raat yaad aata hai,
Kabhi subah to kabhi shaam yaad aata hai.
Sochte hain ke kar lein doosri mohabbat,
Phir pehli mohabbat ka anjaam yaad aata hai.

Woh shakhs tarsega mujhse baat karne ko,
Jis ny apny lehje sy mera dil dukhaya ha.

Lafz reh jaayenge, baaton ko mukammal karte,
Baat lehje ki thakaan mein bikhar jaayegi.
Aur sochta hoon, jis roz main mar gaya,
Kya mere saath teri yaad bhi mar jaayegi?

Pagal mai tumhare bagair nahi reh sakta,
Mai to reh sakti ho… aur main rehna chahti hoon.
Love Breakup Shayari

Ab main tujhe bhoolna chahta hoon,
Magar yeh ho nahi paa raha.
Teri yaadon se door kahaan jaaoon?
Koi raasta nazar nahi aa raha.
Tera mujhe yun chhod kar jaana,
Haan, mujhe andar se kha raha hai.
Main kuch kehne aaya tha, magar…
Tujhe khush dekh kar jaa raha hoon.

Badla jo waqt, gehri rafaqat badal gayi,
Sooraj dhala to saaye ki surat badal gayi.
Ek umr tak main uski zarurat bana raha,
Phir yun hua ke uski zarurat badal gayi.

Kuch is tarah sy kisi ny kaha “Khuda Hafiz”,
Ke jaise keh raha ho “Khuda… Khuda Hafiz!”
Main ek baar pareshan hua tha apne liye,
Jab usne rote hue bola tha “Khuda Hafiz”.
Toh jis ke paas bhi ja, ja — tujhe ijaazat hai,
Tujhe Khuda ke hawale kiya — Khuda Hafiz.

Akelay rotaa hua chhod gayi woh mujhe,
Jo kehti thi “rona mat, tujhe meri kasam”.

Bohat shauq tha darya-e-ishq mein tairne ka,
Ek shakhs ne aisa doboya ke kabhi kinaara hi nahi mila.
True Love Breakup Shayari

Dil roya, par aankhon ko rone na diya,
Saari saari raat jaage, khud ko sone na diya.
Itna karte hain yaad aap ko,
Par is baat ka ehsaas aap ko kabhi hone na diya.

Mohabbat thi is liye chhod diya,
Zidd hoti toh baahon mein hoti.
Kuch rishte sirf yaadon mein ache lagte hain,
Zinda rahein toh sirf takleef dete hain.

Toot kar chaaha tha tujhe har mod par,
Aur tu ne har mod pe chhod diya.
Ab jo toot gaya hoon andar se,
Toh wajah sirf tera khamosh hona hai.

Na tere aane ki khushi rahi,
Na tere jaane ka gham raha.
Bas ek khaali si jagah hai dil mein,
Jahaan kabhi tera naam tha.

Mohabbat sirf wafaa ka naam nahi hota,
Har baar milna bhi zaroori nahi hota.
Kuch dard aise bhi hote hain zindagi mein,
Jo har kisi ko dikhana zaroori nahi hota.
Breakup Attitude Shayari
Jaanta hoon nahi bhool paaoon ga tumhein,
Magar dikhawa karne ka haq to hai na mujhe?
Bechard jao to log dhadrain maar kar royein,
Mayassar shakhs ki qeemat, tukke ki bhi nahi hoti.
Koi wada, na dilasa, na tasalli, na dua,
Usne jaate hue is baar qayamat kar di.
Rasm-e-ulfat hi ijaazat nahi deti, warna…
Hum bhi aise tumhein bhoolein ke sada yaad karo.
Tu mujhko bhool gaya hai magar in aankhon se,
Tere wajood ka axas mujh se mitaya nahi jaata.
Aray, aap ne jaana hai to jaiye na,
Ya aa kar jaana — phir se aana kya laga rakha hai?