HomeAlone ShayariBest Dosti Attitude Shayari | Bond with Swag and Style

Best Dosti Attitude Shayari | Bond with Swag and Style

Dosti attitude shayari is all about celebrating friendship with style and confidence. Some friendships are bold some are unbreakable and this shayari captures that fearless bond. Whether you want to tease your best friend or show loyalty with swag these lines say it all.

In this collection you will find friends attitude shayari that highlights trust dosti status that adds spark to your posts and attitude quotes for friends full of power. Yaari shayari with style and bold friendship shayari written in simple words makes every line fun yet meaningful. This is where friendship meets attitude and words turn into a vibe.

Dosti Attitude Shayari​

Dosti-Attitude-Shayari

Doston se rooth kar rahoge na to kutte bhi satayenge,

Aur doston mein milkar rahoge na to sher bhi ghabrayenge.

Tu dost nahi, jaan hai meri,

Aur apni yaari ko bahut upar tak le jaani hai.

Jo hanste the hamare bure waqt mein,

Ab unki aukaat dikhani hai.

Dosti-Attitude-Shayari

Circle thoda bada hai janab,

Mere doston mein na koi fake hai.

Aisa waisa to koi hai nahi,

Sab ek se badhkar ek hai.

Hum wahi hain, badle nahi hain,

Aur dushmano, thoda aukaat mein raho.

Abhi hum sudhre nahi hain.

Dosti-Attitude-Shayari

Ye jitny tasveerein mein khade hain,

Ye saare ke saare bhai hain.

Kisi ko kamzor na samajhna,

Ye sab tabahi hain.

Ek do nahi, sab jalte hain,

Jab mere saath mere yaar chalte hain.

Attitude Dosti Shayari​

Zarurat nahi hai sitaron ki,

Zarurat nahi hai hazaron ki.

Ek dost chahiye aap jaisa,

Jo waat lagaye hazaron ki.

Arey sharif zaroor hain,

Par darte kisi ke baap se nahi hain.

Marne se pehle thoda soch lena,

Mere yaar sochte nahi hain.

Dosti mein ek cheez yaad rakhna,

Dosti gehri ho ya na ho,

Lekin dost kamina hona chahiye.

Tumhein hamari bhi sunni hogi,

Sirf tumhari nahi chalegi dost.

Humein dushmani manzoor hai,

Gaddari nahi chalegi dost.

Bhai bhai mai kabhi aukaat ki baat nhi hoti,

Aur agar dosti gehri ho to bina gaali ke baat nahi hoti.

Ek phone par tera sheher hilta hai,

Sirf dikhane ka dam thodi hai.

Aur jaam to lagna tha darling,

Yaaron ka kaafila mantri se kam thodi hai.

Ye jitny tasveerein mein khade hain,

Ye saare ke saare bhai hain.

Kisi ko kamzor na samajhna,

Ye sab tabahi hain.

Must Read